sabaq aisa padha diya tu ne dil se sab kuchh bhala diya tu ne hum nikamme hue zamane ke kaam aisa sikha diya tu ne kuchh talluq raha na duniya se shaghl aisa bata diya tu ne kis khushi ki khabar suna ke mujhe gham ka putla bana diya tu ne kya bataun ki kya liya main ne kya kahun main ki kya diya tu ne be-talab jo mila mila mujh ko be-gharaz jo diya diya tu ne umr-e-jawed khizr ko bakhshi aab-e-haiwan pila diya tu ne nar-e-namrud ko kiya gulzar dost ko yun bacha diya tu ne dast-e-musa mein faiz bakhshish hai nur-o-lauh-o-asa diya tu ne subh mauj nasim gulshan ko nafas-e-jaan-faza diya tu ne shab-e-tira mein shama raushan ko nur khurshid ka diya tu ne naghma bulbul ko rang-o-bu gul ko dil-kash-o-khushnuma diya tu ne kahin mushtaq se hijab hua kahin parda utha diya tu ne tha mera munh na qabil-e-labbaik kaba mujh ko dikha diya tu ne jis qadar main ne tujh se khwahish ki is se mujh ko siwa diya tu ne rahbar-e-khizr-o-hadi-e-ilyas mujh ko wo rahnuma diya tu ne mit gae dil se naqsh-e-baatil sab naqsha apna jama diya tu ne hai yahi rah manzil-e-maqsud khub raste laga diya tu ne mujh gunahgar ko jo bakhsh diya to jahannum ko kya diya tu ne 'dagh' ko kaun dene wala tha jo diya ai khuda diya tu ne