sach bol ke bachne ki riwayat nahin koi aur mujh ko shahadat ki zarurat nahin koi main rizq ki aawaz pe labbaik kahunga han mujh ko zaminon se mohabbat nahin koi mere bhi kai khwab the mere bhi kai azm haalat se inkar ki surat nahin koi main jis ke liye sare zamane se khafa tha ab yun hai ki us nam se nisbat nahin koi lahja hai mera talkh mere war hain bharpur lekin mere sine mein kudurat nahin koi