sach hai gham-e-firaq mein hum ro nahin sake

sach hai gham-e-firaq mein hum ro nahin sake
wo bhi tamam raat magar so nahin sake

be-faeda hai chahna asnam se wafa
ye sang-dil kisi ke kabhi ho nahin sake

patthar ke log hain jahan shishe ke baam-o-dar
hum us zamin mein dard-e-wafa bo nahin sake

sine mein ek dagh laga aur umr-bhar
dhote rahe wo dagh magar dho nahin sake

aadab-e-parda-dari-e-zabt-e-fughan na puchh
tufan dil mein uthte rahe ro nahin sake

ranginiyon ke ahd mein khushiyon ke daur mein
chaha ghamon ko khona magar kho nahin sake

taskhir-e-mahtab mukammal to ho gai
daman mein us ke ek bhi pal so nahin sake

ayyari-e-siyasat-e-ahbab dekhiye
chaha kisi ke ho ke rahen ho nahin sake


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close