sadiyon se main is aankh ki putli mein chhupa tha

sadiyon se main is aankh ki putli mein chhupa tha
palkon pe agar mujh ko saja lete to kya tha

tu phail gaya ta-ba-abad mujh se bichhad kar
main jism ke zindan mein tujhe dhund raha tha

han mujh ko tere surkh kajawe ki qasam hai
is rah mein pahle koi ghungru na baja tha

guzre the mere samne tum dosh-e-hawa par
main dur kahin ret ke tile pe khada tha

sine mein ubharte hue suraj ka talatum
aankhon mein teri dubti raaton ka nasha tha

guzra na udhar se koi patthar ka pujari
muddat se main us rah ke mathe pe saja tha

jab waqt ki dahliz pe shab kanp rahi thi
shoala sa mere jism ke aangan se utha tha

ab jaaniye kya naqsh hawaon ne banae
us ret pe main ne to tera nam likha tha

ai dida-e-hairan tu zara aur qarib aa
ai dhundne wale main tujhe dhund raha tha

achchha hai 'rashid' aankh bhar aai hai kisi ki
is khushk samundar mein to main dub chala tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close