safar ka silsila aaKHir kahan tamam karun

safar ka silsila aakhir kahan tamam karun
kahan charagh chalaun kahan qayam karun

sabhi ke sar pe hai rakkhi kulah nakhwat ki
qadon ki bhid mein kis kis ka ehtiram karun

hain jitne mohre yahan sare pitne wale hain
kise main shah karun apna kise ghulam karun

ajib shahr hai koi sukhan-shanas nahin
mata-e-fikr main mansub kis ke nam karun

mera shanasa hai koi na ham-zaban hai koi
dayar-e-ghair mein phir kis se main kalam karun

sajaun us ke liye ghar bichhaun palken 'zafar'
wo aa raha hai to kuchh main bhi ehtimam karun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close