sahar anjaan si maghmum sa khwab-e-wafa kyun hai na jaane qurbaton ke nam se ye fasla kyun hai andhere zahr barsane lage hain zindagani par kisi ke pyar ka mahtab aise mein khafa kyun hai zara jab raat dhalti hai to khwabon ke jharoke se hasin manus shaklon ka sawera jhankta kyun hai bahaar aai faza mahki khushi ne hath phailae to phir ye zindagi aawara-e-dasht-e-wafa kyun hai shab-e-gham kat gai lekin ujalon se gale mil kar sahar ki aarzu itni sahar na-ashna kyun hai mere anfas se aati hai khushbu-e-sahar kaisi sukut-e-baam-o-dar mein aaj teri hi sada kyun hai koi dil se nahin guzra to 'saqib' kaun batlae kisi pazeb ki jhankar se dil gunjta kyun hai