sahil pe ab charagh farozan hue to kya

sahil pe ab charagh farozan hue to kya
gharqab hum ko kar ke ye saman hue to kya

be-rang-o-bu hai daman-e-ahl-e-chaman abhi
qatre lahu ke sarf-e-bahaaran hue to kya

be-kar hai bahaar jo aae na waqt par
gar mere baad aish ke saman hue to kya

hum but-kade mein rah ke bhi iman-parast hain
waiz haram mein rah ke musalman hue to kya

gar la-ilaj ho gaya dard-e-dil-e-figar
phir chaarasaz mail-e-darman hue to kya

mathe pe to kalank ka tika hai aaj tak
hum ko mita ke log numayan hue to kya

khwabida ab bhi nazren hain be-his hai ab bhi dil
na aashna-e-soz ghazal-khwan hue to kya

daman se khun dil ko banana tha rashk-e-gul
minnat-kash-e-bahaar-e-gulistan hue to kya

'kashfi' mita sake na magar zulmat-e-nasib
aansu hamare zinat-e-mizhgan hue to kya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close