sahra ka safar tha to shajar kyun nahin aaya mangi thin duaen to asar kyun nahin aaya dekha tha jise hum ne kabhi shauq-e-talab mein mahtab sa wo chehra nazar kyun nahin aaya hum log to marte rahe qiston mein hamesha phir bhi hamein jine ka hunar kyun nahin aaya lagta hai muqaddar mein mere saya nahin hai muddat se safar mein hun to ghar kyun nahin aaya jis ke liye baithe the bichhae hue aankhen mahfil mein abhi tak wo bashar kyun nahin aaya mausam to har ek shakh ke khulne ka 'zafar' tha phir un pe koi barg-o-samar kyun nahin aaya