
sain apne nafas ko hum ne yun hi nahin nakaam kiya umr guzari dar-ba-dari mein kab kis ja aaram kiya ghair to aakhir ghair hain yaro kya sochen ab kis ke tain hum ne kaun jagah apne ko paband-e-ahkaam kiya ahl-e-khirad ne jashn-e-bahaaran yun bhi manaya ab ke baras jaib-o-gareban chaak kiye aur diwanon mein nam kiya har dar pe ek bang lagawen bhala karo bas bhala karo ek hi shikwa ek hi nala subh kiya aur sham kiya unche unche mahlon se kya gharaz hai hum banjaron ko thandi chhaya dekh ke khud ko kabhi na zer-e-baam kiya main hi tha ek aankh na bhaon wo to ab bhi yar hain tere jin logon ne tera charcha bazaron mein aam kiya dukh na pahuncha kisi ko baba tere 'khalid' se un ne to sau bar khushi ko gham ke ewaz nilam kiya