samajh rahe the ki ab shab gai sahar aai tere dayar mein wo raushni nazar aai nishat-o-gham ka talluq bhi kya talluq hai abhi hanse bhi na the hum ki aankh bhar aai mana rahe hain manana tha jin ko jashn-e-bahaar mere nasib mein tazin-e-baam-o-dar aai ye aur baat ki sab kuchh kaha ho sach tu ne mujhe hansi to teri baat baat par aai kamal hai ye tasawwur ki mashq-e-paiham ka tere hijab ki taswir bhi utar aai wasuq-e-azm pe hain kaamraniyan mauquf khayal-e-rahguzar aate hi rahguzar aai bala se ahd-e-bahaaran ne dil ko zakhm diye 'nasir' surat-e-gulzar to nikhar aai