samajhta hun main sab kuchh sirf samjhana nahin aata

samajhta hun main sab kuchh sirf samjhana nahin aata
tadapta hun magar auron ko tadpana nahin aata

ye jamuna ki hasin amwaj kyun argan bajati hain
mujhe gana nahin aata mujhe gana nahin aata

ye meri zist khud ek mustaqil tufan hai 'akhtar'
mujhe in gham ke tufanon se ghabrana nahin aata


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close