saneha ho ke raha chashm ka murjha jaana

saneha ho ke raha chashm ka murjha jaana
khwab lagta hai tera khwab mein bhi aa jaana

aankh ta-der rahi mauja-e-gham-nak mein tar
hasan ka khel tha aaine ko chamka jaana

tu sar-e-baam hawa ban ke guzarta kyun hai
mere malbus ki aadat nahin lahra jaana

dasht ke lab pe hai is qatra-e-naisan ka maza
tu kahan jaan saka main ne tujhe kya jaana

tukhm bota hai koi hath meri mitti mein
mujh ko aasan hai bahut chhanw ka phaila jaana


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close