sang aur KHisht-e-malamat se bacha lo mujhko

sang aur khisht-e-malamat se bacha lo mujh ko
apne darbar ki diwar bana lo mujh ko

para-para ho ana aur sar-e-maghrur fana
gend ki tarah fazaon mein uchhaalo mujh ko

luqma-e-tar ne mere nafs ko barbaad kiya
yaad karte raho kankar ke niwalo mujh ko

jaane kis qabr ka hai paikar-e-khali mera
main khilauna hun to bas tod hi dalo mujh ko

dasht-e-pur-khar mein hun ek shajar-e-kham abhi
apni dahliz ka takhta hi bana lo mujh ko

ek nazar ek nazar ek nazar ek nazar
sirf duzdida-nazar dal ke talo mujh ko

'kawisham' kya hai samajh mein kabhi aa jaega
gham-zada git samajh kar kabhi ga lo mujh ko


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close