sang the pighle to pani ho gae

sang the pighle to pani ho gae
hum wo chehre jo kahani ho gae

khel hai ab har taraf taswir ka
lafz sare be-maani ho gae

baat karni thi hamein jis se bahut
hum usi ki be-zabani ho gae

chand qatre rah gae the aankh mein
wo bhi dariya ki rawani ho gae

sabz mausam aa gaya tha room mein
aaine bhi dhani dhani ho gae

aasman par rah ke bhi tum khak ho
hum zamin par aasmani ho gae

chhanw mein gautam ki kya baithe 'shakil'
thode thode hum bhi gyani ho gae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close