sans ke shor ko jhankar na samjha jae

sans ke shor ko jhankar na samjha jae
hum ko andar se giraftar na samjha jae

us ko raste se hatane ka ye matlab to nahin
kisi diwar ko diwar na samjha jae

main kisi aur hawale se use dekhta hun
mujh ko duniya ka taraf-dar na samjha jae

ye zamin to hai kisi kaghzi kashti jaisi
baith jata hun agar bar na samjha jae

us ko aadat hai ghane ped mein so jaane ki
chand ko dida-e-bedar na samjha jae

apni baaton pe wo qaem nahin rahta 'tabish'
us ke inkar ko inkar na samjha jae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close