sanson ko karb zist gham-e-be-panah ko

sanson ko karb zist gham-e-be-panah ko
kis kis ko mutmain main karun khwah-makhwah ko

suraj ke par dekh sako gar meri tarah
tab ja ke paoge meri hadd-e-nigah ko

main is fareb-gah mein wo aadam-gazida hun
dhunde hai jo andheron mein ja-e-panah ko

apna na main hua to bhala kaun hai mera
apnae kyun koi kisi gum-karda-rah ko

main hadson ki bhid mein tanha khada hua
aawaz de raha hun kisi khair-khwah ko

saya bhi ham-qadam na mera ho isi liye
khatir mein laya main na kisi intibah ko


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close