saqi ke nam-lewa maiKHane rah gae hain

saqi ke nam-lewa maikhane rah gae hain
mai-khanon mein bhi khali paimane rah gae hain

be-maqsad-e-junun hain majnun jo dasht mein hain
laila nahin rahi hai diwane rah gae hain

ban kar jo ek haqiqat duniya pe chha gae the
duniya mein aaj un ke afsane rah gae hain

mahfil rahe tumhaari mahfil mein tum raho ab
wo kya rahen jo ho kar begane rah gae hain

pahchanna ab un ko dushwar ho gaya hai
jo log apne jaane-pahchane rah gae hain

qabron mein sone walo tum ko pukarte hain
ishrat-kade jo ban kar gham-khane rah gae hain

dekh ai nigah-e-ibrat aasar-e-ahd-e-mazi
aabaadiyon ke ho kar virane rah gae hain

ai gosh-e-ibrat un ko tu sun sake to sun le
ye kuchh haqiqaton ke afsane rah gae hain

ai sham-e-subh-e-mahfil un ko jala ke bujhna
do-chaar aur tere parwane rah gae hain

diwanon ko jo 'bismil' badnam kar rahe hain
diwanon mein abhi kuchh farzane rah gae hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close