sar-e-darbar KHamoshi tah-e-darbar KHushiyan hain

sar-e-darbar khamoshi tah-e-darbar khushiyan hain
dar-o-diwar ki baaten dar-o-diwar khushiyan hain

tujhe takna tujhe sunna tera hansna machal jaana
hamare gham ke aangan mein faqat do-chaar khushiyan hain

kai hain dastanen dafn yan yaron ke sine mein
kahin par gham hai khushiyon mein kahin gham-khwar khushiyan hain

amir-e-shahr kya jaane jo guzri hai gharibon par
yahan par gham ke phere hain wahan har bar khushiyan hain

na jab tak hum samajh paen hamara maqsad-e-takhliq
jahan mein jo mayassar hon sabhi be-kar khushiyan hain

badi mehnat se likkhi hai sar-e-qirtas jo main ne
kahani mein jo rakkhe hain sabhi kirdar khushiyan hain

jo mujh pe shart ho ahmad main puri kar dikhaunga
sar-e-inkar gumnami pas-e-iqrar khushiyan hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close