sare jag se ruth jaana chahti hun han magar tum ko manana chahti hun ek khushi gar tu jo mujh ko de sake to sare gham ko bhul jaana chahti hun han watan ko chhoda barso ho chuke hain ab main lekin laut aana chahti hun ibtida tu hi hai meri intiha bhi main faqat itna batana chahti hun int patthar se makan bante hai sab ke main bharose ka banana chahti hun bas tera hi pyar mangun zindagi mein main kahan koi khazana chahti hun main ne kab chaha ki mar jaana mujhe hai ek jine ka bahana chahti hun