sari duniya mein dana hai apne ghar mein kuchh bhi nahin

sari duniya mein dana hai apne ghar mein kuchh bhi nahin
aisa lagta hai ab us ke kisa-e-zar mein kuchh bhi nahin

zauq-e-nazar phir aamada hai jalwon ki paimaish par
khali aankhen ye kahti hain chand-nagar mein kuchh bhi nahin

khud-dari bhi kachcha shisha fankari bhi kachchi nind
sab kuchh kho kar ye paya hai shahr-e-hunar mein kuchh bhi nahin

chaaron khont phira hun lekin apne aap ko pa na saka
ghar aa kar ye raaz khula hai samt-o-safar mein kuchh bhi nahin

purkhon se unwan suna hai bhuk aur nind mein rishta hai
aaj ki raat kathin guzregi aaj to ghar mein kuchh bhi nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close