sari jafaen sare karam yaad aa gae

sari jafaen sare karam yaad aa gae
jaise bhi yaad aae hon hum yaad aa gae

jab bhi kahin se pyar mila ya khushi mili
duniya ke dard-o-ranj-o-alam yaad aa gae

dekhin hain jab bhi gul ke qarin chand titliyan
kitne khayal-o-khwab baham yaad aa gae

likkha tha tum ne khat mein ki tum ne bhula diya
kya hadsa hua hai ki hum yaad aa gae

pardes mein jo aai nazar nargisi nigah
ek ba-wafa ke dida-e-nam yaad aa gae

muddat hui hai bichhde hue apne-ap se
dekha jo aaj tum ko to hum yaad aa gae

suljhain jab bhi zist ki 'saghar' ne gutthiyan
nagah teri zulf ke kham yaad aa gae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close