sari raat kahani sun ke hum to lab na kholenge

sari raat kahani sun ke hum to lab na kholenge
waise chhup ke hans bhi lenge waise tanha ro lenge

ujde dil ki basti wale itne ghafil hote hain
kho bhi gae to is mele mein kisi ke sang bhi ho lenge

baadal garje bijli kadke ya sawan bhadon barsen
hum sadkon pe rahne wale chuppi sadh ke so lenge

yaro tum ye fikr na karna kis ke sar ilzam lage
hum to apne khun se apne donon hath bhigo lenge

jab bhi dard se dil tadpega tukde tukde hogi ruh
kisi andhere kamre mein hum dil mein dard samo lenge

hum ne sari umr akele maut ka rasta dekha hai
jab bhi aai kisi bhi chaukhat par sar rakh ke so lenge

chupke chupke kafan lapete niklenge jab hum ghar se
lakh bulaoge ro ro kar hargiz aankh na kholenge


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close