sarshaar hun saqi ki aankhon ke tasawwur se

sarshaar hun saqi ki aankhon ke tasawwur se
hai koi gharaz mujh ko baada se na saghar se

is daur mein maikhane ka nazm nirala hai
pi kar koi bahke hum ek jura ko bhi tarse

kitne hain jo ek qatra se pyas bujhate hain
sairab nahin hote kuchh log samundar se

hushiyar bahut rahna hai aaj ke rahi ko
jitna nahin rahzan se dar utna hai rahbar se

jurat ke dhani jo hain mai-khana hi un ka hai
jurat na ho jis mein wo ek jam ko bhi tarse

us dil ko samajhna kuchh aasan nahin pyare
ye sakht hai patthar se nazuk hai gul-e-tar se

socha tha na paimana ab munh se lagaunga
kya khair ho tauba ki jab ghir ke ghata barse

un se koi kah de wo khud apna muqaddar hain
jo log gila karte hain apne muqaddar se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close