sath rahte itni muddat ho gai dard ko dil se mohabbat ho gai kya jawani jald rukhsat ho gai ek chhalawa thi ki champat ho gai dil ki gahak achchhi surat ho gai aankh milte hi mohabbat ho gai fatiha padhne wo aae aaj kya thokaron ki nazr turbat ho gai lakh bimari hai ek parhez-e-mai jaan jokhon tark-e-adat ho gai tafraqa dala falak ne bar-ha do dilon mein jab mohabbat ho gai wo gila sun kar hue yun munfail aaed apne sar shikayat ho gai dosti kya us talawwun-taba ki chaar din sahab salamat ho gai wah re aalam kamal-e-ishq ka meri un ki ek surat ho gai un ke jate hi hui kaya palat kham masarrat yas hasrat ho gai pi ke yun tum kab bahakte the 'hafiz' raat kya be-lutf sohbat ho gai