sawad-e-sham se darta hua nazar aaya farogh-e-mehr bhi marta hua nazar aaya nasim-e-subh chali aur fishaar-e-rang-o-bu kahin qarar na karta hua nazar aaya zamin pe rakh udi jab bhi khema-gahon ki ufuq pe khun bikharta hua nazar aaya har ek phul dikhai diya kaman-ba-dast har ek khar nikharta hua nazar aaya na nind aai na koi sitara-e-kam-khwab bulandiyon se utarta hua nazar aaya kabhi kabhi to meri jalwa-gah-e-hairat mein khud aaina bhi sanwarta hua nazar aaya charagh bujhne lage aur meri aankhon ko badan mein koi utarta hua nazar aaya