sawal ghar nahin buniyaad par uthaya hai hamare panw ki mitti ne sar uthaya hai hamesha sar pe rahi ek chatan rishton ki ye bojh wo hai jise umr-bhar uthaya hai meri ghulail ke patthar ka kar-nama tha magar ye kaun hai jis ne samar uthaya hai yahi zamin mein dabaega ek din hum ko ye aasman jise dosh par uthaya hai bulandiyon ko pata chal gaya ki phir main ne hawa ka tuta hua ek par uthaya hai maha-bali se baghawat bahut zaruri hai qadam ye hum ne samajh soch kar uthaya hai