saya-e-zulm sar-e-khalq-e-khuda hota hai jab bhi parcham shab-e-yalda ka khula hota hai jaante bhi hain ki hai zulm ki baala-dasti ye bhi kahte hain ki bandon ka khuda hota hai raat-bhar jagne walon ne bataya hai hamein raat-bhar shahr ka darwaza khula hota hai wahi parkar-e-jafa aur wahi qirtas-e-watan daera jabr ka har samt khincha hota hai ab to ye haal hua hai ki har ek raste par rah roke hue ek rah-numa hota hai nisbat-e-ahd-e-guzishta se ba-qaul-e-'ghaalib' roz is shahr mein ek hukm naya hota hai sab samajhte hain 'munir' aur kahe jate hain kuchh samajh mein nahin aata hai ki kya hota hai