saz-e-hasti ka ajab josh nazar aata hai

saz-e-hasti ka ajab josh nazar aata hai
ek zamana hama-tan-gosh nazar aata hai

hasrat-e-jalwa-e-didar ho puri kyunkar
wo tasawwur mein bhi ru-posh nazar aata hai

dekhte jao zara shahr-e-khamoshan ka saman
ki zamana yahan khamosh nazar aata hai

aap ke nashtar-e-mizhgan ko chubho leta hun
khun-e-dil mein jo kabhi josh nazar aata hai

aap hi sirf jafa-kosh nazar aate hain
sara aalam to wafa-kosh nazar aata hai

mausam-e-gul na raha dil na raha ji na raha
phir bhi wahshat ka wahi josh nazar aata hai

shana-e-yar pe bikhri to nahin zulf-e-daraaz
har koi khanuman bar-dosh nazar aata hai

jalwa-e-qudrat-e-bari ka muamma na khula
ru-ba-ru rah ke bhi ru-posh nazar aata hai

phir zara khanjar-e-qatil ko khabar de koi
khun-e-'bismil' mein wahi josh nazar aata hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close