shab-e-firaq hai aur nind aai jati hai kuchh is mein un ki tawajjoh bhi pai jati hai ye umr-e-ishq yunhi kya ganwai jati hai hayat zinda haqiqat banai jati hai bana bana ke jo duniya mitai jati hai zarur koi kami hai ki pai jati hai hamin pe ishq ki tohmat lagai jati hai magar ye sharm jo chehre pe chhai jati hai khuda kare ki haqiqat mein zindagi ban jae wo zindagi jo zaban tak hi pai jati hai gunahgar ke dil se na bach ke chal zahid yahin kahin teri jannat bhi pai jati hai na soz-e-ishq na barq-e-jamal par ilzam dilon mein aag khushi se lagai jati hai kuchh aise bhi to hain rindan-e-pak-baz 'jigar' ki jin ko be-mai-o-saghar pilai jati hai