shab-e-firaq ko jab muzhda-e-sahar aaya

shab-e-firaq ko jab muzhda-e-sahar aaya
to ek zamana tera muntazir nazar aaya

tamam-umr ki sahra-nawardiyon ke baad
tera maqam sar-e-gard-e-rahguzar aaya

ye kaun aabla-pa is taraf se guzra hai
nuqush-e-pa mein jo phulon ke rang bhar aaya

kise majal ki nazzara-e-jamal kare
is anjuman mein jo aaya ba-chashm-e-tar aaya

teri talab ke ghane jangalon mein aag lagi
mere khayal mein jab wahm-e-rahguzar aaya

simat gaya meri bahon mein jab wo paikar-e-rang
to is ka rang mujhe dur tak nazar aaya

is aarizon mein ki zid kibriya ki puri ho
'nadim' khak pe aflak se utar aaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close