shab-e-surur nai dastan visal-o-firaq na fikr-e-sud-o-ziyan darmiyan visal-o-firaq main us se baat karun bhi to kis hawale se ki mustaar makan mein kahan visal-o-firaq usi ke nam pe jite hain aur marte hain yahi hai qissa-e-ashutagan visal-o-firaq wo kah gaya hai ki aaunga muntazir rahiyo main mubtala-e-yaqin-o-guman visal-o-firaq wo padh raha tha bade ghaur se lahu ki sarisht har ek bund ka sirr-e-nihan visal-o-firaq hawa-e-subh na jaane kahan kahan le jae shab-e-murad shab-e-darmiyan visal-o-firaq main us ko hath lagata bhi kis tarah 'sahba' ajib kashmakash-e-jaan azan visal-o-firaq