shab-o-roz jaise Thahar gae koi naz hai na niyaz hai

shab-o-roz jaise thahar gae koi naz hai na niyaz hai
tere hijr mein ye pata chala meri umr kitni daraaz hai

ye jahan hai mahbas-e-be-aman koi sans le to bhala kahan
tera husn aa gaya darmiyan yahi zindagi ka jawaz hai

ho badan ke loch ka kya bayan kisi nai ki mauj hai par-fishan
koi lai hai zer-e-qaba nihan koi shai ba-surat-e-raaz hai

tere gham se dil phir amir ho koi chand nikle safir ho
shab-e-dasht ho hai ye zindagi na nasheb hai na faraaz hai

chale tair ud ke pas-e-shafaq hai udas udas rukh-e-ufuq
ki bayaz-e-sham ka har waraq teri dastan-e-daraaz hai

agar ehtiyat-e-khitab ho lab-e-sang khil ke gulab ho
tu kisi sanam ko sada to de dar-e-but-kada abhi baz hai

wahi rup saghar-e-jam mein bhi wahi aks dida-e-nam mein bhi
mere waste tu haram mein bhi wahi 'shaz' ru-e-majaz hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close