shahr apna hai magar log kahan hain apne kahne sunne ko zaman aur makan hain apne ye dua farz samajh kar main kiye jata hun khair se khush rahen ahbab jahan hain apne kab alag thi meri duniya se jo jannat chhoti koi apna tha wahan aur na yahan hain apne aaina mez ka apni kabhi hissa na bana shahr mein kahne ko sab shisha-garan hain apne aaj ke sare yaqin un ke liye un ke liye rang jo badlen wo asbab-e-guman hain apne apne chehre ki khabar jin ko nahin hai 'afsar' un ki aankhon pe sabhi aib ayan hain apne