shahr mein jab bhi zuleKHa se KHaridar aae

shahr mein jab bhi zulekha se kharidar aae
kitne yusuf the ki khud hi sar-e-bazar aae

chhed di qamat-o-gesu ki hikayat hum ne
kisi surat se to zikr-e-rasan-o-dar aae

jab bhi zindan mein asiron ko mila muzhda-e-gul
meri nazron mein tumhaare lab-o-rukhsar aae

dusri rah-e-wafa mein koi manzil hi na thi
jo teri bazm se utthe wo sar-e-dar aae

jab kya tark-e-tamanna ka irada hum ne
samne kitne hi tute hue pindar aae

hosh-mandon ne saja li gham-e-dil ki mahfil
hum se diwane sar-e-anjuman-e-dar aae

hum se sikhe koi aadab qadah-noshi ke
hum ki maikhane mein ghafil gae hoshiyar aae

ghaur se dekh sukhan-fahmon ke chehre 'sarshaar'
kitne is shakl mein 'ghaalib' ke taraf-dar aae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close