shahr mein shor hai us shokh ke aa jaane ka har koi rup bhare phirta hai diwane ka rind-o-waiz the baham dast-o-gareban kal raat jaane kya haal hua shisha-o-paimane ka shab ka aalam tha juda din ke taqaze kuchh aur us se kya zikr karen raat ke afsane ka tar-ba-tar khun mein hai daman-e-ummid-e-bahaar hath mein zakhm hai tute hue paimane ka us ki aankhon mein wahi rang wahi husn-e-talab dil ko samjhaen magar faeda samjhane ka sahn masjid ka hai aur 'hafiz'-o-'khayyam' ke sher jam-e-ghayab mein magar rang hai mai-khane ka