sham-e-gham yaad nahin subh-e-tarab yaad nahin zindagi guzri hai kis tarah ye ab yaad nahin yaad hai utna ki main dub gaya pasti mein kitni unchi hui diwar-e-adab yaad nahin main ne takhliq kiye sher-o-sukhan ke moti meri takhliq ka tha kaun sabab yaad nahin jin ke jalwon se tha aabaad jahan-e-dil-o-jaan meri nazron se nihan ho gae kab yaad nahin aankh mein ashk hain ashkon mein ghamon ki talkhi kaise hote hain wo naghmat-e-tarab yaad nahin itna hi yaad hai muddat se khafa hain wo 'zuhair' un ki khafagi ka magar koi sabab yaad nahin