sham thi aur barg-o-gul shal the magar saba bhi thi

sham thi aur barg-o-gul shal the magar saba bhi thi
ek ajib sukut tha ek ajab sada bhi thi

ek malal ka sa haal mahw tha apne haal mein
raqs-o-nawa the be-taraf mahfil-e-shab bapa bhi thi

samea-e-sada-e-jaan be-sarokar tha ki tha
ek guman ki dastan bar-lab nim-wa bhi thi

kya mah-o-sal majra ek palak thi jo miyan
baat ki ibtida bhi thi baat ki intiha bhi thi

ek surud-e-raushani nima-e-shab ka khwab tha
ek khamosh tirgi saneha-ashna bhi thi

dil tera pesha-e-gila-e-kaam kharab kar gaya
warna to ek ranj ki haalat-be-gila bhi thi

dil ke muamle jo the un mein se ek ye bhi hai
ek hawas thi dil mein jo dil se gurez-pa bhi thi

baal-o-par-e-khayal ko ab nahin samt-o-su nasib
pahle thi ek ajab faza aur jo pur-faza bhi thi

khushk hai chashma-sar-e-jaan zard hai sabza-zar-e-dil
ab to ye sochiye ki yan pahle kabhi hawa bhi thi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close