shama ki lau se khelte dekhe hain main ne parwane do ek to maut se khel raha hai ek kahta hai jaane do mere badan par tum barsao pyar ki shabnam husn ki aag yun ghul-mil kar ek nazar se hum padh len afsane do jin par jaan luta di main ne wo hi mujh se barham hain rone par pabandi hai to qahqaha ek lagane do tum ne pilai jitni pilai dekho hain pyase rind abhi saqi-gari se hath na khincho sab ki dua lo aane do mai se main tauba kar lunga ye lo meri tauba hai pahle mere hathon mein apni aankhon ke mai-khane do us ka kaam hai kahta rahna apna kaam hai sun lena waiz bhi apna hai 'kanwal' tum waz use farmane do