shama raushan koi kar de mere gham-khane mein jaane kab se yahan baitha hun sanam-khane mein lazzat-e-sozish-e-gham jaan-e-wafa aah na puchh kitni taskin mili aap ko tadpane mein khirman-e-dil pe giri hai to koi baat nahin dar hai kaundi na ho bijli tere kashane mein dil mein ab koi bhi hasrat nahin arman nahin kuchh nahin kuchh bhi nahin ab mere gham-khane mein main hi aaraish-e-afsana bana aah magar ab mera nam nahin aap ke afsane mein yun bhi aksar teri aawaz suni hai main ne siskiyan leta ho jaise koi virane mein aap laen to ye daman meri aankhon ke qarib main bhi kuchh pesh karun aap ko nazrane mein kitni masum si pyari si khata kar baithe bhul 'rizwi' se hui hai koi anjaane mein