shamil-e-karwan to hum bhi hain teri jaanib rawan to hum bhi hai ye haqiqat nahin to phir kya hai yani wahm-o-guman to hum bhi hain bar-e-hijrat saron pe hai apne itne be-khanuman to hum bhi hain kah rahe hain khizan zada chehre ai bahaaro yahan to hum bhi hain sach na mano to jhut hi kah lo ek rukh-e-dastan to hum bhi hain hum ko khak-e-rah-e-safar mat jaan ai zamin aasman to hum bhi hain sirf mani ki wusaten hi nahin lafz ke darmiyan to hum bhi hain