sharab-e-ishq mein kya jaane kya tasir hoti hai

sharab-e-ishq mein kya jaane kya tasir hoti hai
kahin ye zahar hoti hai kahin iksir hoti hai

na mafhum us ka furqat hai na mansha wasl hai us ka
mohabbat asl mein ek khwab-e-khud-tabir hoti hai

juda ho kar isi mein jazb ho jati hai phir ek din
mohabbat aaftab-e-husn ki tanwir hoti hai

mera zauq-e-nazar ho ya tera faiz-e-tasawwur ho
mere aaine mein aksar teri taswir hoti hai

shikayat bhi mohabbat hi mein dakhil hai magar 'bismil'
mohabbat be-niyaz-e-shikwa-e-shikwa-e-taqdir hoti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close