shayad kabhi aisa ho kuchh film sa kar jaun

shayad kabhi aisa ho kuchh film sa kar jaun
kuchh qatl karun chun kar aur baad mein mar jaun

main be-sar-o-saman is bazar-e-tamaddun mein
namus buzurgon ka nilam na kar jaun

duniya-e-sukun-agin phir zer qadam hogi
sanson ke samundar se bas par utar jaun

mumkin hai ki mil jae wo aakhiri sima tak
kya ai dil-e-pazh-murda main us ki dagar jaun

ye aakhiri khwahish bhi shayad ki na puri ho
namnak hon kuchh aankhen jab chhod ke ghar jaun

ehsas dila jaun yaron ki samaat ko
jhatka sa lage ban kar ek aisi khabar jaun

har shakhs ke honton par apne hi masail hain
behtar hai yahi 'arshad' chup-chap guzar jaun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close