shikast-e-zindagi waise bhi maut hi hai na to sach bata ye mulaqat aakhiri hai na kaha nahin tha mera jism aur bhar yarab so ab ye khak tere pas bach gai hai na tu mere haal se anjaan kab hai ai duniya jo baat kah nahin paya samajh rahi hai na isi liye hamein ehsas-e-jurm hai shayad abhi hamari mohabbat nai nai hai na ye kor-chashm ujalon se ishq karte hain jo ghar jala ke bhi kahte hain raushni hai na main khud bhi yar tujhe bhulne ke haq mein hun magar jo bich mein kam-bakht shaeri hai na main jaan-bujh ke aaya tha tegh aur tere bich miyan nibhani to padti hai dosti hai na