shoala-e-ishq bujhana bhi nahin chahta hai

shoala-e-ishq bujhana bhi nahin chahta hai
wo magar khud ko jalana bhi nahin chahta hai

us ko manzur nahin hai meri gumrahi bhi
aur mujhe rah pe lana bhi nahin chahta hai

jab se jaana hai ki main jaan samajhta hun use
wo hiran chhod ke jaana bhi nahin chahta hai

sair bhi jism ke sahra ki khush aati hai magar
der tak khak udana bhi nahin chahta hai

kaise us shakhs se tabir pe israr karen
jo hamein khwab dikhana bhi nahin chahta hai

apne kis kaam mein laega batata bhi nahin
hum ko auron pe ganwana bhi nahin chahta hai

mere lafzon mein bhi chhupta nahin paikar us ka
dil magar nam batana bhi nahin chahta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close