sine mein aag aankh su-e-dar lagi rahe

sine mein aag aankh su-e-dar lagi rahe
kaam intizar-e-yar mein ai dil yahi rahe

pahlu ke sath chaak-e-jigar bhi zarur hai
khanjar ke sath ek qarauli lagi rahe

dawat mah-e-siyam ki lazim hai zahido
das bis roz mashghala-e-mai-kashi rahe

ai tifl dar hai chashm-e-bad-e-pir-e-charkh ka
haikal zarur tere gale mein padi rahe

so lutf-e-wasl uthaenge ek aur le ke nind
ehsan hai jo murgh-e-sahar chup abhi rahe

tin aasmanon se nahin chhupta hai aaftab
kab ek naqab se teri surat chhipi rahe

aao na mere ghar to na jao kisi ke ghar
meri khushi rahe na tumhaari khushi rahe

sone ke waqt ai gul-e-tar itr kya zarur
teri gali mein raat ko champa-kali rahe

hukm-e-sharab de to dua dun ki ai faqih
maston ke hath se teri izzat bachi rahe

ye gharra-e- se wafur-e-sharab ho
khali ke baad tak bhi tabiat bhari rahe

khali na koi sher ho bandish ke nur se
ai 'mehr' aalam-e-ghazal-e-'anwari' rahe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close