sine mein charagh jal raha hai

sine mein charagh jal raha hai
mathe se lahu ubal raha hai

honton pe chaman khile hue hain
aankhon se dhuan nikal raha hai

paikar pe uge hue hain kante
ehsas ka ped phal raha hai

baatin mein bapa hai ek tufan
dariya hai ki rukh badal raha hai

kya waqt pada hai ai gham-e-jaan
khud apna wajud khal raha hai

main jis ki talash ko chala tha
wo shakhs to sath chal raha hai

tanha hun 'jalil' is nagar mein
maqtal mein charagh jal raha hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close