sirf KHanjar hi nahin aankhon mein pani chahiye

sirf khanjar hi nahin aankhon mein pani chahiye
ai khuda dushman bhi mujh ko khandani chahiye
shahr ki sari alif-lailaen budhi ho chukin
shahzade ko koi taza kahani chahiye
main ne ai suraj tujhe puja nahin samjha to hai
mere hisse mein bhi thodi dhup aani chahiye
meri qimat kaun de sakta hai is bazar mein
tum zulekha ho tumhein qimat lagani chahiye
zindagi hai ek safar aur zindagi ki rah mein
zindagi bhi aae to thokar lagani chahiye
main ne apni khushk aankhon se lahu chhalka diya
ek samundar kah raha tha mujh ko pani chahiye
This is a great chhath puja shayari hindi. True lovers of khandani shayari in hindi will love this. For some people shayari is the most enjoyable thing in life and they absolutely adore laila shayari. Please share if you liked this!!!

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close