sitam ke mare lahu mein dube hue nazaron ka kya karunga sisakte ghuncho tumhin batao main in bahaaron ka kya karunga jinhen bharosa ho aasman par wo aasman se panah mangen main apne zarron se mutmain hun main chand-taron ka kya karunga agar mujhe de sake zamana to kuchh nae zakhm aur de de main ghamgusaron ko jaanta hun main ghamgusaron ka kya karunga hain sham-e-ghurbat ki tirgi mein mujhe mere ashk hi ghanimat ho jin ki qismat mein khud hi gardish main un sitaron ka kya karunga main khud hi tufan hun apna sahil nikal lunga yahin kahin se jahan safine bhi dub jaen main un kinaron ka kya karunga tumhaare dair-o-haram ke jalwe tumhein mubarak tumhin sambhaalo mujhe haqiqat ki justuju hai main khwab-zaron ka kya karunga abhi to daman-e-ghuncha-o-gul se lunga main intiqam 'arshad' abhi junun mo'atabar nahin hai abhi bahaaron ka kya karunga