sitam-zarifi ki surat nikal hi aati hai

sitam-zarifi ki surat nikal hi aati hai
raqib ki bhi zarurat nikal hi aati hai

qadam rakhen to kahan aab-o-reg-o-khak pe hum
sabhi jagah koi turbat nikal hi aati hai

hisab-e-qurb-o-kashish kar ke kyun hon sharminda
mere lahu ki to qimat nikal hi aati hai

hai pul-siraat ki hi bu-nisai rah-e-jahan
yahan bhi hashr ki haalat nikal hi aati hai

bade zamane se hun dushmanon ki aankhon mein
kisi mein chashm-e-murawwat nikal hi aati hai

main mirkaza hun magar mirkaza bhanwar ka hun
kisi bhi mauj se qurbat nikal hi aati hai

ye shairi hai padosi ke pattharon ke sabab
tarashta hun to jiddat nikal hi aati hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close