sitare palkon pe jalwa-gar the shikast-e-azm-e-fughan se pahle

sitare palkon pe jalwa-gar the shikast-e-azm-e-fughan se pahle
gham-e-nihan se zamana waqif tha sharh-e-soz-e-nihan se pahle

hamari hi sai-e-justaju ne suragh-e-manzil diya jahan ko
talash-e-manzil mein hum rawana hue the har karwan se pahle

pasand aaya na bijliyon ko koi jo kartin tawaf un ka
mile kai aur bhi nasheman unhen mere aashiyan se pahle

sitam-rasidon ki anjuman mein chhide hain jab zalimon ke charche
tumhaara nam aa gaya hai aksar zaban par aasman se pahle

unhen ye zid hai sunenge meri zaban se mera fasana-e-gham
main sochta hun fasana-e-gham sunaun bhi to kahan se pahle

tumhaari khalwat-kade ke parde uthe hue hain durust lekin
chhuda to lun daman-e-nazar ko tahayyur-e-be-karan se pahle

gharaz ke bande hain ahl-e-alam nahin koi ba-wafa jahan mein
na kijiye faisla abhi ye 'nasir' ke imtihan se pahle


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close